Dekhoonga kaise behati hai paani jharne bankar tan se tere,
Kaise badthi hai khoobsoorati tere jab behati hai paani tan se tere,
Dekh kar behate paani ko sanam mera mann mein khayal aata hai,
Kash mein bhi hota ek boond us paani ki jo tere tan se behata hai.

Jo kismat payee hai pani ki us boond ne aise kismat mere nahin,
Paani bhi chootha hai tujhko par tujhe choona mere kismat mein nahin,
Kab tak yeh doori sehana hai kab tak aise hi humein tadapna hai,
Kya is tadap ki koi anth nahin kya hamare pyaar ka koi arth nahin.

Kaise samjhaye hamare pyaar ka arth is naa samajh duniya ko,
Kaise samjhaye is duniya ko ke pyaar karna koi gunah nahin,
Yeh duniya kya samajh sakegi tere mere dil ki baaton ko,
Yeh duniya kya mita sakege tere aur mere tadapthi raaton ko.

Jab dilon ki tadap mita nahin sakte to kuch kehane ki inhe haq hi nahin,
Kyon kadra karein hum us duniya ka jo pyaar ko samajh nahin paate hai,
Yeh duniya hamare kuch aise hi hai jo sadiyon se aise hi chalti aayee hai,
Aise bereham duniya wale pyaar ko kabhi chain se jeene dete nahin.

Poojenge woh Radha Krishna ko par pyar ki paribhasha nahin samjhenge,
Pyaar ko rahon mein hi maarke thokar pathar ke murat par phool barsayenge,
Aao chalo hum dono milkar lade is duniya se aur is duniya waalon se,
Marna bhi agar padega humko to hum marenge ek duje ke hi baahon mein.

Shrini Deewana

http://www.poemhunter.com/poem/mohabbat-ki-jung/