Konsa desh hai wo? jnha tum baste ho.
Kya koi pata nhi us jagah ka? jnha tera desh hai

Ye panchhi nhi udte tere desh me
ki kbhi koi pegam bheju
ye hawayen bhi sayd, nhi chalti tere desh me ki
iski khusbu me hi kbhi tuge apne hone ka ehsas kara doo.
Esa konsa desh h tera? jnha ye badal bhi nhi brste ki kbhi barish ki bund bankr hi tere badn
ko chhu jaun
ye surj bhi nhi jata tere desh
ki kbhi uski dhup bnkar hi tere badn ko sahla dun
Or wo chhand? wo bhi nhi niklta sayd, tere desh me ki uski chandni me hi kbhi tasveer
bankr tughe najr aa jaun.

Bhut andhera hai tere desh me sayd, deepk wnha nhi jalte ki uski lou me hi kbi tuge jalte
dikhai de jaun
khamosi bhut feli hai tere desh me koi aawaj wnha nhi jati ki kbhi koi aaht bnkar hi tuge
sunai de jaun
esa konsa desh hai tera? jnha geet bhi nhi gungunaye jate ki kbhi koi saaj bankr hi tere
hotho par saj jaun
bhut dur h aasiyana tera
koi rasta wnha nhi jata
ki us par chalkr hi kbhi tere karib pahunch jaun
esa konsa desh hai tera? janha yado par bhi pahra h ki kbhi koi
payara sa ehsas bnkr hi
tere dil me bas jaun
kyo baste ho tum esi jagh?
janha sagr bhi nhi bahta ki kbhi koi lahr bnkr hi lahra jaun,
aakhir konsa hai wo desh?
janha tum baste ho........
Janha kbhi to me tumhare khayalo me hi aa jaun

Ruby Chouhan

http://www.poemhunter.com/poem/konsa-desh-hai/