Tasveer to thi kamil lekin,
Yeh rang na tha,
Yeh jan na thee,
Yeh shan na thee.
Yeh kiske lahu ne rang bhare,
Tasveer wohi shahkar bani,
Jo pheeki thi,
Berang bhi thi.
Yeh karb-o-bala men kaun aaya,
Keya shan hay is matwale ki,
Yeh jan hay ummat wale ki.
Is ret ke tapte maidan men,
Yeh rang anokhe laya hay.
Yeh Akbar hain,
Yeh Quasim hain,
Yeh Ibn-e-Hasan,
Yeh Asghar hain,
Yeh qous-o-qazah ke rang hain ya,
Phir noor ke rangeen dhare hain,
Yeh Ahmed ke ghar wale hain,
Quran ke natiq pare hain,
Nayab sahi,
Nadir bhi sahi,
Yeh rang bahut kamyab sahi,
Tasveer yun hi rah jaegi.
Koi pani lado thora sa,
Yeh rang bahut he peyase hain.
Asghar ko liye yeh kaun badha,
Woh teer chala,
Woh khoon ubla.
Kiskis ke lahoo se ishq ki is
Tasveer ko ranga jaye ga.
Quasim bhi gaye,
Akbar bhi gaye,
Asghar bhi gaye!
Ab koi nahin,
Ek hujjat hay, so rahne do.
Tasveer ke lekin qalb men yeh,
Berang sa kaisa halqa hay,
Dekho to zara keya likhkha hay,
Keya sibt-e-Nabi ka nam hay yeh!
Lo yeh bhi chale!
Ek shor utha,
Sijde men mujahid par kisne,
Yeh waar kiya, yeh waar kiya!
Tasveer hui rangeen teri,
Tayyar hui,
Shahkar bani,
Kamyab sahi,
Nadir bhi sahi,
Tasveer teri nayab sahi,
Fankar mere batla de zara,
Keya beete gi ab Zainab par!

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/hussain-tasveer-e-ishq/