Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Khada hoon aaj bhi roti ke chaar harq liye
Sawal yeh hai kitaabon ne kya diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par
Fasil-e-shaher mein kisne saja diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko

Main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha
Hawa ne thaam se zameen par gira diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko...(Tanhaiii)