Teri sabse uttam mahima,
Saundarya badhati ambar ki lalima.
Tere darshan ke liye daudo jise hay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Bhagavati! Teri karu me bhakti,
Tu to hai sati, savitri aur shakti.
Ye bahkt, puje tuje har samay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Sigh hai tera vahan,
Kar de man mera pavan.
Papiyo ko hai tujse bhay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Mahishasur ko tune mara,
Kar diya yah pavan yah jag sara.
Danavo ka anth tere hatho hai nischay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

He Bhavan! Rah mere ghar navratri,
Banade man ko swarga ka yatri
Dashami ko sacchai ki hai vijay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Ma! Bhool hoi to kar de kshama,
Is shraddha ke pyase ko tu sama.
Teri krupa se hoti borai parajay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Man ke khet me tera beej bo diya,
Tere he to hai yah sab tiya.
Darshan tere pakar bana ho digvijay,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Ma tere hai anek roop,
Deep sah chadha engae dhoop.
Teri krupa se hota jag ka uday,
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

He ma! Dur kar hamari karuna,
Tere jaise goon seekengae ham dharana.
Ma teri ho jay!
Ma ambe ki jay! Jagatambe ki jay!

Mayank Mehta

http://www.poemhunter.com/poem/ma-ambe-ki-jay-jagatambe-ki-jay/