Aasmanon pe usko na dhoondha karo,
Woh zameenon mein hay usko dekha karo.
Sari batein to kehne ki hoti nahin,
Khamushi ke takallum ko samjha karo.
Muhabbat ke apne taqaze bhi hayn,
Pehle samjho inhein phir taqaza karo.
Dwae karna to asan sa kam hay,
Bat jab hay ki dawon ko sacha karo.
Aaj kal ki yeh gardish ruki na kabhi,
Aaj guzre ga kal per bharosa karo.
Zindigi keya hay koi nahin janta,
Maut aayegi ek din yeh socha karo.
Usse milne ka dil mein yaqeen hay agar,
Zindigi ka kisi se na sauda karo.
Ki wafaon ke bdle wafa, keya kiya,
Bat jab hay jafaon pe sijda karo.
Di muhabbat ke badle muhabbat to keya,
Nafraton mein bhi yeh beej boya karo.
Khauf marne ka dil se nikal jaye ga,
Zindigi uske dar mein guzara karo.
Apne andar ke insan ko dhoondh lo,
Koi parda nasheen hay to parda karo.
Isqadar nasamjh koi hota nahin,
Jo na samjhe ho abtak who samjha karo.

Bano Ali

http://www.poemhunter.com/poem/khamushi-ke-takallum-ko-samjha-karo/