Waqt ki aagosh me aakar insaan badal jata hai,
Honi to ho hi jati hai kuch bas na chal pata hai.

Waqt ki hi maar se hare darakht bhi gir jate hain
Zindgi chhod chahti hai chehre apne bhi phir jate hain

Waqt rukta nahi hai, ruk to jati hain saanse,
Maut aa jati hai aur rah jati hain jhoothi aasen.

Waqt hi par tika ye samaa aur sansaar hai,
Waqt hi ka mod ek, is zindgi ki haar hai.

Waqt kahta hai ae musafir, agar tu bhi mere sath chalega,
Khushiyan milengi tujhe jahaan men, aur baad me na hath malega.

from: GULZAR-E-WAQT
by AHATISHAM ALAM

Ahatisham Alam

http://www.poemhunter.com/poem/waqt-3/