Jo guzar gai woh thi zindigi jo guzar rahi woh sawal hay,
Tum ise bhi kahte ho zindigi yeh to apna apna khyal hay.
Ye hawa ke jhonke kabhi kabhi yeh jo gugdgudi si lagate hayn,
Kabhi rote rote jo hans pada in hawaon ka yeh kamal hay.
Na to main raha na to tum rahe yeh zamana kitna badal geya,
Yeh jo phool humne khila diya yehi baqi ek jamal hay.
Yeh safar to sara hi kat geya jo bacha hay usko bhi kat lein hum,
Zara kakulon ko woh kham to do woh jo kabka inse nikal geya,
Kabhi bole tum jo lagao se to lohoo bhi ruk geya ghao se,
Koi bheegi aankhen bhi hans padin koi ghamzada bhi bahal geya.
Kabhi socha tumne jo paya hay kabhi socho keya keya ganwaya hay,
Koi uska dhoondo jawab bhi tum ke yeh zindigi ka sawal hay.
Main to mutmain hoon naseeb se jo sila mila woh bahut mila,
Woh jo aaj tak na mila kabhi mujhe kutch na uska malal hay.
Mera mazi mujhse bichar geya main use kabhi na bhula saka,
Magar iska husn bhi kam nahin ke bada haseen mera hal hay.
Yeh jo dhoop chaon ka khel hay ise khelna hi hay zindigi,
Kabhi bheeg jati hay aankh agar yeh to ek waqti ubal hay.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/ghazal-zindigi/