Is karam ka karoon shukr kaise ada
Jo karam mujpe mere Nabi ne kiya
main sajata tha sarkar ki mehafile
mujko har gam se rab ne bari kar diya
Is karam ka karoon shukr………………………
lamha lamha hai mujpar nabi ki ata
dosto or mangu main maula se kya
kya ye kam hai ke mere khuda ne muje
apne mehbub ka ummati kar diya
Is karam ka karoon shukr………………………
zikr sarkar ki hai bari barkate
mil gai rahate azamate rifa-ate
main gunahgaar tha be-amal tha magar
Mustafa(saw) ne muje jannati kar diya
Is karam ka karoon shukr………………………
jo dare Mustafa(saw) ke daga ho gae
dekhte dekhate kya se kya ho gae
aisi chasme karam hai sarkar ne
har daga ko shafi ne wali kar diya
Is karam ka karoon shukr………………………
koy mayus lota na darbar se
jo bhi manga mila mere sarkar se
sadake jau 'niyazi' mai lajpal ke
dono aalam mai mujko sakhi kar diya