Bighri banaao Makki Madani, Dar pay bulao Makki Madani
Is may muqadas noorani, ankho ka tara Makki Madani
Deed teri hai eid meri, jalwa dikhaao Makki Madani
Hum hain gunaho may dobay huway, jaisay hain nibhaao Makki Madani
Mehshar may ho lab pe yehi,hum ko bachaao Makki Madani
Doobtay dilon ki daanish hai, naam tumhara Makki Madani
Sadqah apnay nawason ka, dukhray mitaao Makki Madani