Dharti Maa ki Pukar

Original Hindi Transliteration

Janani hun main sharni hun main, jan jan ki , kan kan ki
Jivan Sanchalit karti hun main sabka her din her pal
Mujhko itna barbad na kar ki main is bhumandal main rah na paun

Sajati hun main sanwarti hun main, sabko her roz
Nit naya sonderya dati hun main khud ko malin kar
Mujhko itna malin na kar ki main kahni koroop hi na ho jaun

Sabka Poshan karti hun main vayu se jal se an se
Badle main bas itna de de ki main a pratibhtaain nibhati jaun
Sadiaon sadiaon tak,

Ye nabh, ye nadian, ye sagar, banaye hain teri kamna or manoranjan ko
Phool taru baag Bagichae lubhatae hain tere hi man ko
Bas itna reham rakhna, ye bagwan leharata rahe yugaon yugaon tak

Tune badhaya hai gyan apna itna
Fod kar bumb jhinjhodah diya hai badan mera
Or bhi pida mat dena ki kahni main viklang he na ho jaun
Aai thi jis Suraj se, us Suraj se phir mil na jaun.

Santosh Sharma

http://www.poemhunter.com/poem/dharti-maa-ki-pukar/