Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya.
Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai
Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kiya.
Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon
Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya.
Na zaad e safar hai na koi kaam bhalay hain
Phir bhi hamain sarkaar bulain to ajab kya.
Deedar key qabil to nahin chashm e tamana
Lekin Woh kabhi khwaab main aaein to ajab kya.

Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai
Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kiya.
Yeh nisbat e shah e madni aur yeh aansoo
Mehshar mein aik gham say shuraein to ajab kiya.
Main aisa khatawar hoon kuch had bhi nahin jis ki
Phir bhi meray aeboon ko chupaein to ajab kiya.
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Yeh ishq mera haal sunayein to ajab kiya.
Paband nawa to nahin faryad ki rasmein
Aansoo hi mera hal sunaein to ajab kiya.
Haasil jinhein aqaa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar say woh murdoon ko jalaaein to ajab kiya.
Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say
Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya.