Surprise Me!

Maine dekha tha un dino main use. Mohsin Naqvi, voice_ Zia Anjum.....Mixed by Sarwan Laghari

2015-02-06 8 Dailymotion

I don't own the rights either of the poetry or of the music, hope you like it. Thanks for watching

Poetry:
Meine dekha tha un dinon mein usey,
Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,
Us ka lehja sharaab jesa tha,

Us ki zulfon se bheegti thi ghataa,
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,
Woh adab ki kitaab jesa tha,

Bolta tha zubaan khushbuu ki,
Log sunte they dharkinon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Sari aankhen thi ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,
Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,
Aik darya numaa saraab tha woh,

Khawb yeh hai ke woh haqeeqat tha,
Yeh haqeeqat hai koi khawb tha woh,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,

Apni neendein bhi us ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Jab woh hans hans ke baat karta tha,
Dil ke khaimey mein raat karta tha,
Rang parrhte they anchlon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Yeh magar dair ki kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,
Us ke mere milaap mein haayel,
Ab to sadiyon bhara zamana hai,

Ab to yun hai haal apna bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,
Kya khabar woh in dinon kesa hoga,
Mene dekha tha un dinon mein usey..

Buy Now on CodeCanyon