shiraza-e-hayat pareshan ho gaya ye marhala bhi kher se asan ho gaya
mere sakoon-e-dil ko to hona hi tha tauba unki bik nigah ka nuqsan ho gaya
Ishq Se Humko Ashiana Karke Jhuk Gaya Koi Saamna Karke
Ae Woh Intezaar Ki Ghadiyan Waqt Kata Khuda Khuda Karke
Ahle Duniya Ke Haath Kiya Aaya Do Dilon Ko Juda Juda Karke
Dono Alam Ko Pa Liya Mein Nein Zindagi Ishq Mein Fana Karke
Tu Nein Anjaam Khud Hi Daikh Liya Bewafa Se Qamar Wafa Karke
Husn wale wafa nahi karte Ishq wale daga nahi karte
Zulm karna to in ke aadta hai Yeh kisi ka bhala nahi karte

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Ne, Is Jaga Pyar Karna Mana Hai
Pyar Agar Ho Bhi Jaye Kisi Ko, Iska Izhar Karna Mana Hai

Unki Mahfil Mein Jab Koi Jaye, Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye
Woh Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hein, Unka Deedar Karna Mana Hai

Jag Uthenge To Aahein Bhareinge, Husn Walon Ko Ruswaa Kareinge
So Gaye Hain Jo Furqat Ke Mare, Unko Bedar Karna Mana Hai

Humne Ki Arzaye Banda Parwar, Kiyon Sitam Dhal Rahe Ho Yeh mujh Par
Baat Sun Kar Hamari Woh Bole, Humse Taqrar Karna Mana Hai

Samne Jo Khula Hai Jaroka, Khana Jana Qateel Kahin Unka Dhoka
Abhi Apne Liye Us Gali Mein, Shouq-e-Deedar Karna Mana Ha