Khalis Shehad Ki Pehchan
Choonkay fi zamana har cheez mein milawat ki waba aam tor par kuch ziyada hi phelti ja rahi hai is liye kisi bhi cheez k mayar ko parakhnay k liye is k asli pehchan k liye kai tareekay paye jatay hein is tarah honey ki asli honay ki pehchan k chand tareekay darj zel hein.
1. Honey k chand qatray pani k glass mein takpayen agar wo drops isi halat mein glass k penday par paray rahein to khalish shehad hai is liye k shehad asani k sath pani mein hal nahi hota jabkay sheera ya sharbat k drops penday tak pohanchnay se pehlay hi toot jatay hein.
2. Salt ki dali ko honey par rub karein phr honey taste karein agar zaiqa namkeen mehsoosh na ho to honey khalis hai.
3. 1 paper ya kapray par honey ka qatra daal kar isay tircha karein agar honey ka qatra kaghaz ya kapray par lagay baghair phisal jaye to honey khalis hai.
4. Honey ko roti par lagayen or phir bhookay kuttay k aagay dalein agar honey khalish hoga to kutta nahi khaye ga kiyounkay kutta honey nahi khata.