Ik Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Ek main hi nahi un par qurban zamana hai,
Ik main hi nahin un per qurban zamana hai,
Jo Rab e do aalam ka mahboob yagana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Kal pul say hamein jis nay khud par lagana hai,
Zahra ka woh baba hai Hasnain ka nana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Iss hashmi dulha per konain ko main waroon,
Jo husn o shumail mein yakta e zamana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Izzat say na marjayein kyun naam e Muhammad par,
Youn bhi kisi din hum ne duniya say toh jana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Yoon Shah e Madina ki mein pusht panahi mein,
Kiya iski mujhe parwah dushman jo zamana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Soh bar agar tauba tuti bhi to kiya hairat,
Bakhshih ki riwayat mein toba to bahana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrics

Mehroom e karam is ko rakhiye na sar e mehshar,
Jaisa hai Naseer aakhir, sahil toh purana hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Pur Noor si rahein hain, gunbad pay nigahein hai,
Jalwey bhi anokhay hain, manzar bhi suhana hai.

Yeh keh kay dar e haq say li maut mein kuch mohlat,
Milad ki aamad hai mehfil ko sajana hai.

Aao dar e Zahra par phalaye hue daman,
Yeh nasal kareemon ki lajpal gharana hai.

Qurban us aaqa per kal hashr ke din jisnay,
Iss ummat e aasi ko kamli mein chupana hai.

Har waqt woh hain meri duniya e tasawar mein,
Aie shoq kahin ab to aana hai na jana hai.

Hum kyun na kahein unsay rodad e alam apni,
Jab unka kaha khud bhi Allah nay mana hai.

Written By: Pir Syed Naseer ud Din Naseer, Golra Sharif-Islamabad

Song by: Shahzad Hanif Madni