Surprise Me!

Hashar mai Jab un ko Sajdai se uthaya jaye ga by Syed Zabeeb Masood

2015-12-07 6 Dailymotion

Hashar mai Jab un ko Sajdai se uthaya jaye ga. Kalam written by Haji Hanif Nazish and read by Syed Zabeeb Masood

Hashar mai jab un ko Sajdai se Uthaya Jaye ga,
Hum Gunahgaaro ki bigri ko banaya jaye ga.

Kuch to un ki Jumbish e Lab se raha ho jaye gai,
Kuch sayah kaaro ko Kamli mai chupaya jaye ga.

Hazrat e Hassaan ki HumSayegi k wastai,
Naat parhnai sunnai walo ko bulaya jaye ga.

Jab Sawari Syeda Zahra ki ayi Hashar mai,
Hukam De k sab ki nazro ko jukaya jaye ga.

Aur U Kaha Sarkaar ne ,k Mere Yaar e Gaar ko.
Aatho Darwazo se Jannat mai bulaya jaye ga.

Hashar ki gayat hai Nazish, aur kia is k siwa,
Martaba Mehboob ka sab ko dikhaya jaye ga.

Buy Now on CodeCanyon