Title: Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon
Naat Khwan: Ehsan Tahmid A Legend Personality Always Read Mind Blowing Naats

lyrics :
Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon
Imam-ul-Anbiya dekhoon, Habeeb-e-Kibriya dekhoon

Woh jinke dam qadam se subah ne bhi raushni payee
Munawwar kar diya jisne faza woh rahnuma dekhoon

Woh jinki barkato abr-o-bala baste 'aalam mein
Tamanna qalb-e-muztar ki woh durr-e-bebaha dekhoon

Qadam bahir madine se tasawwur mein Madina hai
Ilahi, ya Ilahi azmaton ki intiha dekhoon

Ye duniya besubaat-o-bewafa-o-gham ka gehwara
Ye hai matloob dar-e-be-wafayee mein wafa dekhoon

Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon

Woh mabda khalq-e-'alam ka darood unpar salaam unpar
Mera maula ye mauqa de ke khatm-ul-Anbiya dekhoon

Kabhi ho husn ke mehfil kabhi ho shauq ka manzar
Kabhi aansoo ki zanjeeron mein aashiq ki sada dekhoon

Rasoolun Qasimul khairaati fid dunya wa fil uqaba
Shafi'a qaz nafs-e-ma dar ma Nabi-e-Mujtaba dekhoon

Dar-e-jannat pe haazir hoon Rasool-e-Pak ke hamrah
Shafa'at ka ye manzar ya khudaya mein Raza dekhoon

Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon
Imam-ul-Anbiya dekhoon, Habeeb-e-Kibriya dekhoon