Kab Talak Muntazir urdu Naat by Umm-i-Habiba on channel ISLAM&ISLAM. Please listen it and pray for me. Please share this naat with friends. DONOT FORGET TO FOLLOW CHANNEL ISLAM&ISLAM.

LYRICS

Kab talak muntazir hum rahein Ya Nabi
Apna Jalwa-e-athar dikha deejiye

Hum faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Piyaas qalb-o-nazar ki bujha deejiye

Aap zeenat azall ki hein Khair-ul-waraa
Aap ronaq abadd ki hein Salle Alaa

Aap Khair-ul-Bashar, Wajah-e-kaun-o-makaan
Paar baira hamara laga deejiye

Arsh walay bhi tairay sana khwan hein
Aur Malaik tairay darr key darbaan hein

Tairay darbaar-e-aali ki kiya shaan hay
Apnay qadmon mein hum ko bula leejiye

Ranj-o-Aalaam se hum ko kar do baree
Khushk hai dil ki khaitee, yeh kar do haree

Tashnagee, Bekalee, Teergi, Ya Nabi!
Rahguzaron ki dil say hataa deejiye

Bay amal hum saraapa gunahgaar hein
Ranjishon mushkilon mein giriftaar hein
Hum karam kay tumharay talabgaar hein
Aah-o-girya say hum ko jilla deejiye

Sab say ooncha hay rutbon mein rutba tera

choomtay hein malaaik bhee Roza tera
Chahatein dil mein hein, sar mein sauda tera