Yeh video murshid e kamil kaise apne mureed ki ruhani mudad kartay hain k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ka Talban e ruhaniyat se khitab jis mein apne irshad furmaya k “jab koi allah ko apne dil mein basany ki koshish karta hai to shetan sochta hai k ager yeh allah is k dil mein chula gaya to yeh sari zindagi k leye mere hathon se nikal jaey ga.us k pas jinnat ki hindu fouj hai,us ko hukam daita k jao is ko tabah karo,burbad karo kuch b karo yeh allah is k andar na jaey.aub tumhary pas to aik jin b nahin hai jo tumhari hifazat kar sukay,woh aain gai tumhain tung karain gai,baz na aaey to pagel b kar suktay hain.lekin jo kamil murshid hotay hain un ko b allah tala ne aik Rehmani fouj dai rukhi hoti hai,woh shetani fouj tum par tout pari aur woh rehmani fouj shetano par tout pari,aur woh rehamani fouj us waqt tak tumhara sath dai gi jab tak tumhary andar Rehman nahin jag uthtay.is tarika se murshid e kamil apne mureed ki ruhani mudad karta hain.<br /><br /><br /><br />
