Surprise Me!

Greta Thunberg Detained in Gaza Flotilla Raid by Israeli Navy

2025-10-02 34 Dailymotion

Greta Thunberg Detained in Gaza Flotilla Raid by Israeli Navy

Israeli forces ne Gaza ke liye aid le kar jaane wali Global Sumud Flotilla ko intercept karke 400 se zyada activists ko giraftar kar liya, jismein Swedish climate activist Greta Thunberg bhi shamil hain. Yeh boats international waters me roki gayin, jahan Israel ka jurisdiction nahi tha.

Israel ne kaha ke flotilla ne "naval blockade" todne ki koshish ki, jabke organizers ne ise "illegal aur desperate act" qarar diya. Reports ke mutabiq activists par water cannons bhi use kiye gaye.

Is waqiye ke baad Colombia ne Israel ke diplomats ko mulk se nikal diya aur trade deal khatam kar di, jabke Amnesty International ne blockade ko "unlawful" kaha. UN aur kai mulkon ne bhi Israel ki action ki nindah ki, jabke Italy ne flotilla mission ko criticize kiya.

Flotilla Spain se 40 ships aur 500 se zyada logon ke saath Gaza ke liye chali thi. Yeh pehli dafa nahi, Israel pehle bhi do missions ko rok chuka hai.

UN keh raha hai ke Gaza mein famine hai aur aid ka rasta rokna international law ka khilaf warzi hai, magar Israel isko jhoot qarar deta hai.

Buy Now on CodeCanyon